laakh samjhaaya par sooni hi nahin
zid bhi aisi ki tootti hi nahin
zakhm itne mile hain duniya se
ab koii aarzoo bachi hi nahin
kya bataaun main khauf ka aalam
zindagi zindagi rahi hi nahin
laakh koshish kii hai magar phir bhi
dhata ki chhooti hi nahin
waqt barham hua hai jab se mera
kyun rafaqat kahin mili hi nahin
mas'ala dil ka badh gaya mera
jab se vo meri zindagi hi nahin
khwaab mein jab se vo dikha parvez
haalat-e-dil mein saadgi hi nahin
लाख समझाया पर सुनी ही नहीं
ज़िद भी ऐसी कि टूटती ही नहीं
ज़ख़्म इतने मिले हैं दुनिया से
अब कोई आरज़ू बची ही नहीं
क्या बताऊॅं मैं ख़ौफ़ का आलम
ज़िंदगी ज़िंदगी रही ही नहीं
लाख कोशिश की है मगर फिर भी
आदत-ए-बद कि छूटती ही नहीं
वक़्त बरहम हुआ है जब से मेरा
क्यों रफ़ाक़त कहीं मिली ही नहीं
मसअला दिल का बढ़ गया मेरा
जब से वो मेरी ज़िंदगी ही नहीं
ख़्वाब में जब से वो दिखा परवेज़
हालत-ए-दिल में सादगी ही नहीं
As you were reading Shayari by Parvez Shaikh
our suggestion based on Parvez Shaikh
As you were reading undefined Shayari