ek muddat se nahin jaata hoon but-khaane mein | एक मुद्दत से नहीं जाता हूँ बुत-ख़ाने में

  - Rakesh Mahadiuree

ek muddat se nahin jaata hoon but-khaane mein
rind hoon main jo pada rehta hoon rindane mein

aap aayein to yahan baad-e-saba hai warna
itni khushiyaan bhi kahaan aati hain veeraane mein

ek hi gham kya tumhein ta-umr rulvaayega
itni narmi bhi kabhi aati hai deewane mein

aapka kya hai khafa hon to ada hoti hai
jaan-e-jaan khilli yahan udti hai rindane mein

roz khud ko hi banata hai mita deta hai
aisi shokhi bhi kabhi hoti hai deewane mein

ek ladki kii muhabbat mein tabaah hote ho
aisi kitni hi padi hongi sanam-khaane mein

uske jaane ka bahut ziyaada hi dukh hai tumko
ham kabhi fusle hain meri jaan fuslaane mein

jaante bhi ho muhabbat kii haqeeqat saathi
aisi kam-zarfi chhalk jaati hai but-khaane mein

ghazlen aisi hon ki sardi mein tapakti raatein
jaam aisa ho ki uble mere paimaane mein

itni aasaani se deewane nahin mitte hain
sadiyaan mit jaayengi yun rakesh dafnaane mein

एक मुद्दत से नहीं जाता हूँ बुत-ख़ाने में
रिंद हूँ मैं जो पड़ा रहता हूँ रिंदाने में

आप आएँ तो यहाँ बाद-ए-सबा है वर्ना
इतनी ख़ुशियाँ भी कहाँ आती हैं वीराने में

एक ही ग़म क्या तुम्हें ता-उम्र रुलवाएगा
इतनी नर्मी भी कभी आती है दीवाने में

आपका क्या है ख़फ़ा हों तो अदा होती है
जान-ए-जाँ खिल्ली यहाँ उड़ती है रिंदाने में

रोज़ ख़ुद को ही बनाता है मिटा देता है
ऐसी शोख़ी भी कभी होती है दीवाने में

एक लड़की की मुहब्बत में तबाह होते हो
ऐसी कितनी ही पड़ी होंगी सनम-ख़ाने में

उसके जाने का बहुत ज़्यादा ही दुख है तुमको
हम कभी फुसले हैं मेरी जान फुसलाने में

जानते भी हो मुहब्बत की हक़ीक़त साथी
ऐसी कम-ज़र्फ़ी छलक जाती है बुत-ख़ाने में

ग़ज़लें ऐसी हों कि सर्दी में टपकती रातें
जाम ऐसा हो कि उबले मेरे पैमाने में

इतनी आसानी से दीवाने नहीं मिटते हैं
सदियाँ मिट जाएँगी यूँ 'राकेश' दफ़नाने में

  - Rakesh Mahadiuree

More by Rakesh Mahadiuree

As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree

Similar Writers

our suggestion based on Rakesh Mahadiuree

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari