hamaara dil tumhaare gham se baahar kyun nahin aata | हमारा दिल तुम्हारे ग़म से बाहर क्यों नहीं आता

  - Rakesh Mahadiuree

hamaara dil tumhaare gham se baahar kyun nahin aata
kisi din aa bhi jaata hai to khulkar kyun nahin aata

isi dil ko sajaane mein khapa di umr ye maine
ye dil sajde ke qaabil hai tu jhukkar kyun nahin aata

main qatra hoon magar dariya ka fan maaloom hai mujhko
ki mere dar pe phir koii samandar kyun nahin aata

teri shohrat ne tujhko chaahne waala diya lekin
bata ai bewafa ladki vo loafer kyun nahin aata

khizaan ke mausamon ne kal mujhe samjha ke ye bola
agar ghar paas hai uske to milkar kyun nahin aata

yun hans kar ke kaleja maangna achha nahin lekin
mere andar sitamgar hai to khulkar kyun nahin aata

na uske paas daulat hai na uske paas shohrat hai
magar dar pe sikandar ke kalander kyun nahin aata

isi dil ne meri aankhon pe aafat daal di rakesh
isi dil ko churaane koii rahbar kyun nahin aata

हमारा दिल तुम्हारे ग़म से बाहर क्यों नहीं आता
किसी दिन आ भी जाता है तो खुलकर क्यों नहीं आता

इसी दिल को सजाने में ख़पा दी उम्र ये मैंने
ये दिल सज्दे के क़ाबिल है तू झुककर क्यों नहीं आता

मैं क़तरा हूँ मगर दरिया का फ़न मालूम है मुझको
कि मेरे दर पे फिर कोई समंदर क्यों नहीं आता

तेरी शोहरत ने तुझको चाहने वाला दिया लेकिन
बता ऐ बेवफ़ा लड़की वो लोफ़र क्यों नहीं आता

ख़िज़ाँ के मौसमों ने कल मुझे समझा के ये बोला
अगर घर पास है उसके तो मिलकर क्यों नहीं आता

यूँ हँस कर के कलेजा माँगना अच्छा नहीं लेकिन
मेरे अंदर सितमगर है तो खुलकर क्यों नहीं आता

न उसके पास दौलत है न उसके पास शोहरत है
मगर दर पे सिकंदर के कलंदर क्यों नहीं आता

इसी दिल ने मेरी आँखों पे आफ़त डाल दी 'राकेश'
इसी दिल को चुराने कोई रहबर क्यों नहीं आता

  - Rakesh Mahadiuree

More by Rakesh Mahadiuree

As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree

Similar Writers

our suggestion based on Rakesh Mahadiuree

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari