gulshan mein jaise phool nahin taazgi nahin
tere baghair zindagi ye zindagi nahin
ye aur baat hai ki vo milte nahin magar
kisne kaha ki unse meri dosti nahin
tere hi dam se khushiyaan hain ghar baar mein mere
hota jo tu nahin to ye hoti khushi nahin
khoon-e-jigar se maine sawaari hai har ghazal
mere sukhun ka rang koii kaaghazi nahin
main khud gunaahgaar hoon apni nigaah mein
uske khuloos-o-ishq mein koii kami nahin
chhoo ke dareecha laut gaya mausam-e-bahaar
lagta hai ab naseeb mein mere khushi nahin
tujhse raza ke sheron mein sandal sii hai mahak
mumkin tere baghair meri shayari nahin
गुलशन में जैसे फूल नहीं ताज़गी नहीं
तेरे बग़ैर ज़िन्दगी ये ज़िन्दगी नहीं
ये और बात है कि वो मिलते नहीं मगर
किसने कहा कि उनसे मेरी दोस्ती नहीं
तेरे ही दम से ख़ुशियाँ हैं घर बार में मेरे
होता जो तू नहीं तो ये होती ख़ुशी नहीं
ख़ून-ए-जिगर से मैंने सॅंवारी है हर ग़ज़ल
मेरे सुख़न का रंग कोई काग़ज़ी नहीं
मैं ख़ुद गुनाहगार हूँ अपनी निगाह में
उसके ख़ुलूस-ओ-इश्क़ में कोई कमी नहीं
छू के दरीचा लौट गया मौसम-ए-बहार
लगता है अब नसीब में मेरे ख़ुशी नहीं
तुझसे 'रज़ा' के शेरों में संदल सी है महक
मुमकिन तेरे बग़ैर मेरी शायरी नहीं
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari