jis tarah se phoolon kii daliyaan mehkati hain | जिस तरह से फूलों की डालियाँ महकती हैं

  - SALIM RAZA REWA

jis tarah se phoolon kii daliyaan mehkati hain
mere ghar ke aangan mein betiyaan mehkati hain

phool sa badan tera is qadar moattar hai
khwaab mein bhi chhoo loon to ungaliyaan mehkati hain

maa ne jo khilaai theen apne pyaare haathon se
zehan mein abhi tak vo rotiyaan mehkati hain

umr saari guzri ho jis kii haq-parasti mein
us kii to qayamat tak nekiyaan mehkati hain

ho gai raza rukhsat ghar se betiyaan lekin
ab talak nigaahon mein doliyan mehkati hain

जिस तरह से फूलों की डालियाँ महकती हैं
मेरे घर के आँगन में बेटियाँ महकती हैं

फूल सा बदन तेरा इस क़दर मोअत्तर है
ख़्वाब में भी छू लूँ तो उँगलियाँ महकती हैं

माँ ने जो खिलाई थीं अपने प्यारे हाथों से
ज़ेहन में अभी तक वो रोटियाँ महकती हैं

उम्र सारी गुज़री हो जिस की हक़-परस्ती में
उस की तो क़यामत तक नेकियाँ महकती हैं

हो गई रज़ा रुख़्सत घर से बेटियाँ लेकिन
अब तलक निगाहों में डोलियाँ महकती हैं

  - SALIM RAZA REWA

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari