kaha hai aajtak jo waqia sab | कहा है आजतक जो वाक़िआ सब

  - Shan Sharma

kaha hai aajtak jo waqia sab
wahi bolenge phir is martaba sab

naseehat ek sii dete ho mujhko
kare baithe ho kya tum mashwara sab

main itna bhi nahin bhatka hoon yaaron
bane firte mere kyun rehnuma sab

kahin vo kho gai hain darmiyaan mein
kari hai aajtak jo ibtida sab

haqeeqat dekhna aane laga hai
hue hain khwaab jab se gumshuda sab

suno mujhko pata hai tum wahi ho
yahan kahte hain jisko apsara sab

qadam mere na pahunchen yaar tum tak
galat batla rahe the raasta sab

kaho tum jhooth chahe shaan khud se
magar sach jaanta hai vo khuda sab

कहा है आजतक जो वाक़िआ सब
वही बोलेंगे फिर इस मर्तबा सब

नसीहत एक सी देते हो मुझको
करे बैठे हो क्या तुम मशवरा सब

मैं इतना भी नहीं भटका हूँ यारों
बने फिरते मिरे क्यों रहनुमा सब

कहीं वो खो गई हैं दरमियाँ में
करी है आजतक जो इब्तिदा सब

हक़ीक़त देखना आने लगा है
हुए हैं ख़्वाब जब से गुमशुदा सब

सुनो मुझको पता है तुम वही हो
यहाँ कहते हैं जिसको अप्सरा सब

क़दम मेरे न पहुँचे यार तुम तक
ग़लत बतला रहे थे रास्ता सब

कहो तुम झूठ चाहे 'शान' ख़ुद से
मगर सच जानता है वो ख़ुदा सब

  - Shan Sharma

More by Shan Sharma

As you were reading Shayari by Shan Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Shan Sharma

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari