aur beemaari kii miyaad badha dete hain | और बीमारी की मीआद बढ़ा देते हैं

  - Sohil Barelvi

aur beemaari kii miyaad badha dete hain
log beemaar ko marne kii dua dete hain

mushkilein thehre hue shakhs kii badh jaati hain
jaane waale to faqat haath hila dete hain

muflisi par nahin kuchh apni tamannaa mauqoof
phir bhi kuchh log mera kaam chala dete hain

chup raha karte bahut kaam mein aane waale
aur ehsaaan-faraamosh jata dete hain

taaqat-e-sabr ka andaaza nahin hota hai
log taqdeer ka likkha bhi mita dete hain

tu bhi khushhaal rahe aur tire apne bhi
ham to ai dost tujhe ye hi dua dete hain

is kii baaton mein na aana ye wahi duniya hai
log rassi ko jahaan saanp bana dete hain

ab hamein ye bhi nahin yaad yahan aa kar ham
jaane kis shakhs ko har baar sada dete hain

zindagi rang unhin logon kii laati hai yahan
waqt padne pe jo jee jaan laga dete hain

ham bhi dhoke mein nahin rakhte kisi ko sohil
saamne waale ko aaina dikha dete hain

और बीमारी की मीआद बढ़ा देते हैं
लोग बीमार को मरने की दुआ देते हैं

मुश्किलें ठहरे हुए शख़्स की बढ़ जाती हैं
जाने वाले तो फ़क़त हाथ हिला देते हैं

मुफ़्लिसी पर नहीं कुछ अपनी तमन्ना मौक़ूफ़
फिर भी कुछ लोग मिरा काम चला देते हैं

चुप रहा करते बहुत काम में आने वाले
और एहसान-फ़रामोश जता देते हैं

ताक़त-ए-सब्र का अंदाज़ा नहीं होता है
लोग तक़दीर का लिक्खा भी मिटा देते हैं

तू भी ख़ुशहाल रहे और तिरे अपने भी
हम तो ऐ दोस्त तुझे ये ही दुआ देते हैं

इस की बातों में न आना ये वही दुनिया है
लोग रस्सी को जहाँ साँप बना देते हैं

अब हमें ये भी नहीं याद यहाँ आ कर हम
जाने किस शख़्स को हर बार सदा देते हैं

ज़िंदगी रंग उन्हीं लोगों की लाती है यहाँ
वक़्त पड़ने पे जो जी जान लगा देते हैं

हम भी धोके में नहीं रखते किसी को सोहिल
सामने वाले को आईना दिखा देते हैं

  - Sohil Barelvi

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari