jaan pehchaan ka nahin koii
ham se naadaan ka nahin koii
kaise maanoon ki ek bhi dushman
ab meri jaan ka nahin koii
sab ko milna hai sirf raja se
aur darbaan ka nahin koii
dukh to ye hai ki tu nahin samjha
ranj apmaan ka nahin koii
ajnabi hai jahaan mere liye
meri pehchaan ka nahin koii
ishq dushman hai jaan ka dushman
khel maidaan ka nahin koii
saaqi teri nigaah chumbak hai
dosh rindaan ka nahin koii
kijie kharch waqt ko khud par
kaam nuqsaan ka nahin koii
maut pyaari hai ya miyaan sohil
dhyaan unwaan ka nahin koii
जान पहचान का नहीं कोई
हम से नादान का नहीं कोई
कैसे मानूँ कि एक भी दुश्मन
अब मिरी जान का नहीं कोई
सब को मिलना है सिर्फ़ राजा से
और दरबान का नहीं कोई
दुख तो ये है कि तू नहीं समझा
रंज अपमान का नहीं कोई
अजनबी है जहान मेरे लिए
मेरी पहचान का नहीं कोई
इश्क़ दुश्मन है जान का दुश्मन
खेल मैदान का नहीं कोई
साक़ी तेरी निगाह चुंबक है
दोष रिंदान का नहीं कोई
कीजिए ख़र्च वक़्त को ख़ुद पर
काम नुक़सान का नहीं कोई
मौत प्यारी है या मियाँ 'सोहिल'
ध्यान उनवान का नहीं कोई
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading undefined Shayari