saans aaye kabhi chali jaaye
haar jaayen ya maat di jaaye
oobne lag gaya hoon ab maula
mere andar se khaamoshi jaaye
kya marz hai mujhe pata ho gaya
ab to dil se ye bekli jaaye
bas ye kehta raha faqat rogi
maut aa jaaye zindagi jaaye
kuchh mareezon se main to behtar hoon
haaye kuchh ki to kya kahi jaaye
kaun zinda hai aspataalon mein
maut bistar tatolti jaaye
ek hassaas aadmi ki vyatha
ek aurat se kya kahi jaaye
zindagi mujh ko azeez hai sohil
maut seene se kyun lagi jaaye
साँस आए कभी चली जाए
हार जाएँ या मात दी जाए
ऊबने लग गया हूँ अब मौला
मेरे अंदर से ख़ामुशी जाए
क्या मरज़ है मुझे पता हो गया
अब तो दिल से ये बेकली जाए
बस ये कहता रहा फ़क़त रोगी
मौत आ जाए ज़िंदगी जाए
कुछ मरीज़ों से मैं तो बेहतर हूँ
हाए कुछ की तो क्या कही जाए
कौन ज़िंदा है अस्पतालों में
मौत बिस्तर टटोलती जाए
एक हस्सास आदमी की व्यथा
एक औरत से क्या कही जाए
ज़ीस्त मुझ को अज़ीज़ है 'सोहिल'
मौत सीने से क्यूँ लगी जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Bahana Shayari Shayari