kuchh zaroori baat karna chahta hoon
isliye nazdeek tere aa gaya hoon
zindagi ho dosti ho ya mohabbat
ye vo tohfe hain main jin ko kho chuka hoon
vo bhi kaar-e-zindagi mein kho gaya hai
main bhi ab mashq-e-sukhan mein mubtila hoon
is dafa shaayad hi meri neend toote
maut kii aaghosh mein main so raha hoon
zindagi tujh ko nahin lagta main ab tak
kuchh ziyaada aazmaaya ja chuka hoon
kaash tu waisa hi ho kal tak tha jaisa
kaash ye sab sach nahin ho jo suna hoon
aap mujh se munh nahin ab feriyega
main yahan bas aap hi ko jaanta hoon
ab museebat mein koii aaye na aaye
main akela lad raha tha lad raha hoon
kooza-gar bhi sochta hai kya banaaun
jaane kis mitti ka sohil main bana hoon
कुछ ज़रूरी बात करना चाहता हूँ
इसलिए नज़दीक तेरे आ गया हूँ
ज़िंदगी हो दोस्ती हो या मोहब्बत
ये वो तोहफ़े हैं मैं जिन को खो चुका हूँ
वो भी कार-ए-ज़िंदगी में खो गया है
मैं भी अब मश्क़-ए-सुख़न में मुब्तिला हूँ
इस दफ़ा शायद ही मेरी नींद टूटे
मौत की आग़ोश में मैं सो रहा हूँ
ज़िंदगी तुझ को नहीं लगता मैं अब तक
कुछ ज़ियादा आज़माया जा चुका हूँ
काश तू वैसा ही हो कल तक था जैसा
काश ये सब सच नहीं हो जो सुना हूँ
आप मुझ से मुँह नहीं अब फेरिएगा
मैं यहाँ बस आप ही को जानता हूँ
अब मुसीबत में कोई आए न आए
मैं अकेला लड़ रहा था लड़ रहा हूँ
कूज़ा-गर भी सोचता है क्या बनाऊँ
जाने किस मिट्टी का 'सोहिल' मैं बना हूँ
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading undefined Shayari