mil agar jaaye to bataaye hamein | मिल अगर जाए तो बताए हमें

  - Umrez Ali Haider

mil agar jaaye to bataaye hamein
aadmi hai kahaan dikhaaye hamein

dil hamein bhi hai ham bhi ahl-e-zubaan
kuchh to koii sune sunaaye hamein

dil hamaara to mar chuka tum se
kaun ab raabta karaaye hamein

jo unhen is qafas mein rahna hai
aashiyana vo phir banaaye hamein

ab ye aalam ki marne bhi ham jaayen
bistar-e-marg bhi sataaye hamein

ye na kar vo na kar ye kya kiya hai
yun kahe hai vo yun sikhaaye hamein

ham bhi koii ghazal hain raag aur lay
ahl-e-duniya to gungunaaye hamein

ho sake ham kahin na mar jaayen
dil se gar vo kabhi bulaaye hamein

bistar-e-marg ham jo so rahe hain
dekhna ab ki kaun uthaaye hamein

dil mein koii hamaare hai haider
jo humeen se wafa karaaye hamein

मिल अगर जाए तो बताए हमें
आदमी है कहाँ दिखाए हमें

दिल हमें भी है हम भी अहल-ए-ज़ुबाँ
कुछ तो कोई सुने सुनाए हमें

दिल हमारा तो मर चुका तुम से
कौन अब राब्ता कराए हमें

जो उन्हें इस क़फ़स में रहना है
आशियाना वो फिर बनाए हमें

अब ये आलम कि मरने भी हम जाएँ
बिस्तर-ए-मर्ग भी सताए हमें

ये न कर वो न कर ये क्या किया है
यूँ कहे है वो यूँ सिखाए हमें

हम भी कोई ग़ज़ल हैं राग और लय
अहल-ए-दुनिया तो गुनगुनाए हमें

हो सके हम कहीं न मर जाएँ
दिल से गर वो कभी बुलाए हमें

बिस्तर-ए-मर्ग हम जो सो रहे हैं
देखना अब कि कौन उठाए हमें

दिल में कोई हमारे है 'हैदर'
जो हमीं से वफ़ा कराए हमें

  - Umrez Ali Haider

More by Umrez Ali Haider

As you were reading Shayari by Umrez Ali Haider

Similar Writers

our suggestion based on Umrez Ali Haider

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari