jo dil mein khuda to kabhi dil-ruba hai
batao vo dil hai ki khaana-khuda hai
hai teri tajalli yahan bhi wahan bhi
so qamat daraazi teri jaa-bajaa hai
hai jismein sadaqat adaalat shujaat
ye saara jahaan phir usi ki rida hai
ye aaina-khaana hai tamsil-e-duniya
so har aks-e-aaina khalk-e-khuda hai
mujhe tum bhi ab to nahin sun sakoge
ki meri sada bhi khaamoshi sada hai
jigar kirchi–kirchi hai ab jaan atki
mohabbat hai khooni mohabbat bala hai
ye pagdi ne jo ki hai khoon-e-mohabbat
teri ab khata hai na meri khata hai
mujhe yaad ghar ki hai aati ki ab to
jo rasta dikha de vo baad-e-saba hai
mohabbat jo tumko hui hai to phir ab
ye bin maut marna tumhaari saza hai
diya kya hai tumne siva gham ke haider
ye dil gham ka jo aashiyana bana hai
जो दिल में ख़ुदा तो कभी दिल-रुबा है
बताओ वो दिल है कि ख़ाना-ख़ुदा है
है तेरी तजल्ली यहाँ भी वहाँ भी
सो क़ामत दराज़ी तेरी जा-बजा है
है जिसमें सदाक़त अदालत शुजाअत
ये सारा जहाँ फिर उसी की रिदा है
ये आईना-ख़ाना है तमसील-ए-दुनिया
सो हर अक्स-ए-आईना ख़ल्क़-ए-ख़ुदा है
मुझे तुम भी अब तो नहीं सुन सकोगे
कि मेरी सदा भी ख़ामोशी सदा है
जिगर किरची–किरची है अब जान अटकी
मोहब्बत है ख़ूनी मोहब्बत बला है
ये पगड़ी ने जो की है ख़ून-ए-मुहब्बत
तेरी अब ख़ता है न मेरी ख़ता है
मुझे याद घर की है आती कि अब तो
जो रस्ता दिखा दे वो बाद-ए-सबा है
मोहब्बत जो तुमको हुई है तो फिर अब
ये बिन मौत मरना तुम्हारी सज़ा है
दिया क्या है तुमने सिवा ग़म के "हैदर"
ये दिल ग़म का जो आशियाना बना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umrez Ali Haider
our suggestion based on Umrez Ali Haider
As you were reading I Miss you Shayari Shayari