baat-baat pe wa-waah karne waale | बात-बात पे वा-वाह करने वाले - Umrez Ali Haider

baat-baat pe wa-waah karne waale
tum hi ho mujhe gumraah karne waale

ja rahe ho tum jo aah karne waale
mil gaya koi parwaah karne waale

jo tujhe kisi ki aarzoo ho uth chal
kuch utha qadam bhi chaah karne waale

khaak thi bisaate-hasti to ye apni
shukr hai tira hi shah karne waale

be-basi buton ki kya tumhein na dikhti
koi but ko phir allah karne waale

kya yahi khazaane mein bacha hai tere
ye jafaa meri tankhwaah karne waale

aagahi ye teri ab kare bhi to kya
jaan ja chuki aagaah karne waale

ship koi bhi to le lo kahi se haider
mere dil ko bandargaah karne waale

बात-बात पे वा-वाह करने वाले
तुम ही हो मुझे गुमराह करने वाले

जा रहे हो तुम जो आह करने वाले
मिल गया कोई? परवाह करने वाले

जो तुझे किसी की आरज़ू हो, उठ, चल
कुछ उठा क़दम भी चाह करने वाले

ख़ाक थी बिसाते-हस्ती तो ये अपनी
शुक्र है तिरा ही शाह करने वाले

बे-बसी बुतों की क्या तुम्हें न दिखती
कोई बुत को फिर अल्लाह करने वाले

क्या यही ख़ज़ाने में बचा है तेरे
ये जफ़ा मेरी तनख़्वाह करने वाले

आगही ये तेरी अब करे भी तो क्या
जान जा चुकी आगाह करने वाले

शिप कोई भी तो ले लो कहीं से 'हैदर'
मेरे दिल को बन्दरगाह करने वाले

- Umrez Ali Haider
1 Like

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umrez Ali Haider

As you were reading Shayari by Umrez Ali Haider

Similar Writers

our suggestion based on Umrez Ali Haider

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari