dhyaan tera jahaan gaya hi nahin
koii manzar wahan bana hi nahin
zindagi bhar main sher kehta raha
tere gham ka asar gaya hi nahin
saath aati hai us ke us kii behn
ab mulaqaaton ka maza hi nahin
mujh ko shayar bana gaya yahi dukh
ishq mujh se kisi ko tha hi nahin
dil churaana vo khoob jaanti thi
us ka jaadu idhar chala hi nahin
maazrat ai mere khuda ki mera
teri duniya mein dil laga hi nahin
ध्यान तेरा जहाँ गया ही नहीं
कोई मंज़र वहाँ बना ही नहीं
ज़िंदगी भर मैं शेर कहता रहा
तेरे ग़म का असर गया ही नहीं
साथ आती है उस के उस की बहन
अब मुलाक़ातों का मज़ा ही नहीं
मुझ को शायर बना गया यही दुख
इश्क़ मुझ से किसी को था ही नहीं
दिल चुराना वो ख़ूब जानती थी
उस का जादू इधर चला ही नहीं
माज़रत ऐ मेरे ख़ुदा कि मेरा
तेरी दुनिया में दिल लगा ही नहीं
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari