aziz jaise koii aakhiri judaai de
suna karoon use jaise nahin dikhaai de
hai sirf dekhne khaatir hi aankh lekin main
nihaarta hoon ki jaise nahin sunaai de
hayaat aaye kahaan se halaak zarroon mein
zuhoor qaid kiye bin nahin rawai de
ye dard to abhi sahna padega seepi ko
guhar baghair na qudrat kabhi rihaai de
rakho sukoon ki apna lagega banda vo
nikaalta wahi dam jab talak judaai de
chhupe fareb ke aflaak kahkashaan mein sab
har ek burj zaroori na rahnumaai de
अज़ीज़ जैसे कोई आख़िरी जुदाई दे
सुना करूँ उसे जैसे नहीं दिखाई दे
है सिर्फ़ देखने ख़ातिर ही आँख लेकिन मैं
निहारता हूँ कि जैसे नहीं सुनाई दे
हयात आए कहाँ से हलाक ज़र्रों में
ज़ुहूर क़ैद किए बिन नहीं रवाई दे
ये दर्द तो अभी सहना पड़ेगा सीपी को
गुहर बग़ैर न क़ुदरत कभी रिहाई दे
रखो सुकून कि अपना लगेगा बंदा वो
निकालता वही दम जब तलक जुदाई दे
छिपे फ़रेब के अफ़लाक कहकशाँ में सब
हर एक बुर्ज ज़रूरी न रहनुमाई दे
As you were reading Shayari by kapil verma
our suggestion based on kapil verma
As you were reading undefined Shayari