aise uljh gaya hoon kisi ke sawaal mein
dil aa nahin raha hai abhi istimaal mein
ik roz mujhko ishq ka aisa sila mila
aaya nahin tha jo kabhi mere khayal mein
sach bolne ka mujhko yahi ik sila mila
dushman bana liye the kai bol chaal mein
main uski aankhen dekh ke bas dekhta raha
usko havas dikhi thi hamaare visaal mein
jaane pe uske aankh se aansu nahin gire
patthar bana diya tha mujhe dekhbhaal mein
tum nen hazaar zulm kiye mujh pe doston
tum bhool se na aana mere inteqal mein
ऐसे उलझ गया हूँ किसी के सवाल में
दिल आ नहीं रहा है अभी इस्तिमाल में
इक रोज़ मुझको इश्क़ का ऐसा सिला मिला
आया नहीं था जो कभी मेरे खयाल में
सच बोलने का मुझको यही इक सिला मिला
दुश्मन बना लिए थे कई बोल चाल में
मैं उसकी आँखें देख के बस देखता रहा
उसको हवस दिखी थी हमारे विसाल में
जाने पे उसके आँख से आँसू नहीं गिरे
पत्थर बना दिया था मुझे देखभाल में
तुम नें हज़ार ज़ुल्म किए मुझ पे दोस्तों
तुम भूल से न आना मेरे इन्तेक़ाल में
As you were reading Shayari by Ajay Choubey
our suggestion based on Ajay Choubey
As you were reading undefined Shayari