aajkal sajaakar ham jhoote khat nahin rakhte | आज-कल सजाकर हम झूटे ख़त नहीं रखते

  - Aqib khan

aajkal sajaakar ham jhoote khat nahin rakhte
is hayaat mein tum ab ahmiyat nahin rakhte

ek dil mein tikne kii hai nahin unhen aadat
ek mulk kii vo to shehriyat nahin rakhte

aapse gila kaisa aapse shikaayat kya
aap to adab kii hi tarbiyat nahin rakhte

koshishein yahi hain bas khud se aage ja paaye
aur is iraade mein kuchh ghalat nahin rakhte

ek waqt aisa tha vo faqat hamaara tha
aaj jiske oopar ham tamkanat nahin rakhte

aapka jo ohda hai aapko mubarak ho
aap meri nazaron mein manzilt nahin rakhte

आज-कल सजाकर हम झूटे ख़त नहीं रखते
इस हयात में तुम अब अहमियत नहीं रखते

एक दिल में टिकने की है नहीं उन्हें आदत
एक मुल्क की वो तो शहरियत नहीं रखते

आपसे गिला कैसा , आपसे शिकायत क्या
आप तो अदब की ही तरबियत नहीं रखते

कोशिशें यही हैं बस ख़ुद से आगे जा पाएँ
और इस इरादे में कुछ ग़लत नहीं रखते

एक वक़्त ऐसा था वो फ़क़त हमारा था
आज जिसके ऊपर हम तमकनत नहीं रखते

आपका जो ओहदा है आपको मुबारक हो
आप मेरी नज़रों में मंज़िलत नहीं रखते

  - Aqib khan

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari