pehle apna kaha tab chhod ke jaane waale | पहले अपना कहा, तब छोड़ के जाने वाले

  - Aqib khan

pehle apna kaha tab chhod ke jaane waale
kar diya tune gazab chhod ke jaane waale

kab talak yaad karoon kitne bahaau'n aansu
chhod bhi de mujhe ab chhod ke jaane waale

aankhen patthar hui jab tab kahin jaana maine
lautte hi nahin sab chhod ke jaane waale

vo bataata tha kai faayde zindaan ke mujhe
hote hain yaaron ajab chhod ke jaane waale

itna afsos nahin hai tere jaane ka magar
bas bata jaata sabab chhod ke jaane waale

पहले अपना कहा, तब छोड़ के जाने वाले
कर दिया तूने ग़ज़ब छोड़ के जाने वाले

कब तलक याद करूँ , कितने बहाऊँ आँसू
छोड़ भी दे मुझे अब.. छोड़ के जाने वाले

आँखें पत्थर हुईं जब ,तब कहीं जाना मैंने
लौटते ही नहीं, सब छोड़ के जाने वाले

वो बताता था कई फ़ायदे ज़िंदाँ के मुझे
होते हैं यारों अजब छोड़ के जाने वाले

इतना अफ़सोस नहीं है तेरे जाने का मगर
बस बता जाता सबब छोड़ के जाने वाले

  - Aqib khan

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari