barson talak jahaan mein dhoonda nahin mila
koii bhi hamko aapse achha nahin mila
chehre to mil gaye the kai dil-nasheen magar
rukhsaar pe vo qaaf ka nuqta nahin mila
ya to jabeen nahin mili ya zulf rah gai
samaan mere qatl ka poora nahin mila
ham par chalaae teer nigaahon ke husn ne
lekin koii nishaanchi tum sa nahin mila
ik baagh mein gaye jahaan laakhon gulaab the
lekin labon sa aapke guncha nahin mila
main gham manaauun aapke jaane ka kis tarah
main aisa qais hoon jise sehra nahin mila
main qaid mein bhi zindagi hans kar guzaarta
jo mujhko chahiye tha vo pinjra nahin mila
ham badnaseeb log hain rone ke vaaste
chhat par hamein umair sa kamra nahin mila
gham se anas rihaai ka kul kaainaat mein
ik raasta hai khudkushi dooja nahin mila
बरसों तलक जहान में ढूँडा नहीं मिला
कोई भी हमको आपसे अच्छा नहीं मिला
चेहरे तो मिल गए थे कई दिल-नशीं मगर
रुख़्सार पे वो क़ाफ़ का नुक़्ता नहीं मिला
या तो जबीं नहीं मिली या ज़ुल्फ़ रह गई
सामान मेरे क़त्ल का पूरा नहीं मिला
हम पर चलाए तीर निगाहों के हुस्न ने
लेकिन कोई निशानची तुम सा नहीं मिला
इक बाग़ में गए जहाँ लाखों गुलाब थे
लेकिन लबों सा आपके ग़ुंचा नहीं मिला
मैं ग़म मनाऊँ आपके जाने का किस तरह
मैं ऐसा क़ैस हूँ जिसे सहरा नहीं मिला
मैं क़ैद में भी ज़िंदगी हँस कर गुज़ारता
जो मुझको चाहिए था वो पिंजरा नहीं मिला
हम बदनसीब लोग हैं रोने के वास्ते
छत पर हमें उमैर सा कमरा नहीं मिला
ग़म से 'अनस' रिहाई का कुल काइनात में
इक रास्ता है ख़ुदकुशी दूजा नहीं मिला
As you were reading Shayari by Anas Khan
our suggestion based on Anas Khan
As you were reading undefined Shayari