ye ishq kya hai ik khata hai aur kuchh nahin
to hijr kya hai ik saza hai aur kuchh nahin
vaise to sabhi aadaten achhi hain yaar kii
haan bas zara sa bewafa hai aur kuchh nahin
chahe ragon se aakhiri qatra nichod le
mere lahu mein bas wafa hai aur kuchh nahin
ab haal kya bataaun tumhein theek-thaak hoon
thoda sa dil dukha hua hai aur kuchh nahin
kyun dekhta hai aadmi ummeed se ise
jab aasmaan mein bas khuda hai aur kuchh nahin
seene mein baaein aur mere dil kii shakl mein
yaadon ka ek maqbara hai aur kuchh nahin
ये इश्क़ क्या है इक ख़ता है और कुछ नहीं
तो हिज्र क्या है इक सज़ा है और कुछ नहीं
वैसे तो सभी आदतें अच्छी हैं यार की
हाँ बस ज़रा सा बेवफ़ा है और कुछ नहीं
चाहे रगों से आख़िरी क़तरा निचोड़ ले
मेरे लहू में बस वफ़ा है और कुछ नहीं
अब हाल क्या बताऊँ तुम्हें ठीक-ठाक हूँ
थोड़ा सा दिल दुखा हुआ है और कुछ नहीं
क्यूँ देखता है आदमी उम्मीद से इसे
जब आसमाँ में बस खु़दा है और कुछ नहीं
सीने में बाईं और मेरे दिल की शक्ल में
यादों का एक मक़बरा है और कुछ नहीं
As you were reading Shayari by Anas Khan
our suggestion based on Anas Khan
As you were reading undefined Shayari