dard mein aur ye museebat bhi | दर्द में और ये मुसीबत भी

  - Arohi Tripathi

dard mein aur ye museebat bhi
jaan par aa gai mohabbat bhi

kaun hoon main sawaal karta hai
ab nahin hai tiri zaroorat bhi

ishq kya ek din ki hoti hai
dekh li ishq kii haqeeqat bhi

kya se kya ho gaye tiri khaatir
kyun nahin aa rahi qayamat bhi

chhod ab dooriyaan banaate hain
rokta hai hamein shariyat bhi

toot jaaye agar bharosa to
kaam aati nahin naseehat bhi

poochhte ho ki haal kaisa hai
theek lagti nahin tabiyat bhi

yaar mumin hamein batao to
ishq raahat bhi de azziyat bhi

दर्द में और ये मुसीबत भी
जान पर आ गई मोहब्बत भी

कौन हूँ मैं सवाल करता है
अब नहीं है तिरी ज़रूरत भी

इश्क़ क्या एक दिन कि होती है
देख ली इश्क़ की हक़ीक़त भी

क्या से क्या हो गए तिरी ख़ातिर
क्यों नहीं आ रही क़यामत भी

छोड़ अब दूरियाँ बनाते हैं
रोकता है हमें शरीयत भी

टूट जाए अगर भरोसा तो
काम आती नहीं नसीहत भी

पूछते हो कि हाल कैसा है
ठीक लगती नहीं तबीयत भी

यार मोमिन हमें बताओ तो
इश्क़ राहत भी दे अज़ियत भी

  - Arohi Tripathi

More by Arohi Tripathi

As you were reading Shayari by Arohi Tripathi

Similar Writers

our suggestion based on Arohi Tripathi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari