jo khud mein jhaank ke dekha hazaar shar nikle | जो ख़ुद में झाँक के देखा हज़ार शर निकले - Hasan Raqim

jo khud mein jhaank ke dekha hazaar shar nikle
jinhen samajhta tha manzil mahaj safar nikle

kate darakht kai aashiyaan gire kitne
na jaane kitne parindon ke aise par nikle

vo jis ziya ko sabhi shahr-e-raushni samjhe
us ek aag mein jhulse tamaam ghar nikle

main uske dar se guzarte hue ruka kuch pal
umeed le ke ki shaayad vo dekhkar nikle

जो ख़ुद में झाँक के देखा हज़ार शर निकले
जिन्हें समझता था मंज़िल महज़ सफ़र निकले

कटे दरख़्त कई आशियाँ गिरे कितने
न जाने कितने परिंदों के ऐसे पर निकले

वो जिस ज़िया को सभी शहर-ए-रौशनी समझे
उस एक आग में झुलसे तमाम घर निकले

मैं उसके दर से गुज़रते हुए रुका कुछ पल
उमीद ले के कि शायद वो देखकर निकले

- Hasan Raqim
0 Likes

More by Hasan Raqim

As you were reading Shayari by Hasan Raqim

Similar Writers

our suggestion based on Hasan Raqim

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari