jism thakta raha roz kii daud mein
main magar kya raha roz kii daud mein
bandishon se sudhar jaaye tu to bata
bas bigadta raha roz kii daud mein
harf saare ghazal ke mere ro diye
sher hota raha roz kii daud mein
abr ke hain kai rang dekho magar
abr gham ka raha roz kii daud mein
jab zamaane ko maaloom hai dard ka
kyun zamaana raha roz kii daud mein
ik wafa ko talaasha to rota raha
kya mila kya raha roz kii daud mein
meer ghalib ko padhkar asar ye hua
main alag sa raha roz kii daud mein
bhool jab se gaya tu lalit ko yahan
pyaar khota raha roz kii daud mein
जिस्म थकता रहा रोज़ की दौड़ में
मैं मगर क्या रहा रोज़ की दौड़ में
बंदिशों से सुधर जाए तू तो बता
बस बिगड़ता रहा रोज़ की दौड़ में
हर्फ़ सारे ग़ज़ल के मिरे रो दिए
शेर होता रहा रोज़ की दौड़ में
अब्र के हैं कई रंग देखो मगर
अब्र ग़म का रहा रोज़ की दौड़ में
जब ज़माने को मालूम है दर्द का
क्यों ज़माना रहा रोज़ की दौड़ में
इक वफ़ा को तलाशा तो रोता रहा
क्या मिला क्या रहा रोज़ की दौड़ में
मीर ग़ालिब को पढ़कर असर ये हुआ
मैं अलग सा रहा रोज़ की दौड़ में
भूल जब से गया तू 'ललित' को यहाँ
प्यार खोता रहा रोज़ की दौड़ में
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari