main dil-e-har se nahin milta to achha tha
chhodkar jaane laga yaani main chautha tha
ik dafa jab baat jaane kii kahi usne
daal mein uski yaqeenan kuchh to kaala tha
vo to khud ko hi maseeha phir bataata tha
zehan se vo kitna maano to adhoora tha
aashiqi mein dil lagana aur phir rona
aashiqi ka ye sabak maano to achha tha
aaj bhi ik mas'ala shaayad puraana hai
gar lalit ka vo nahin hota to achha tha
मैं दिल-ए-हर से नहीं मिलता तो अच्छा था
छोड़कर जाने लगा यानी मैं चौथा था
इक दफ़ा जब बात जाने की कही उसने
दाल में उसकी यक़ीनन कुछ तो काला था
वो तो ख़ुद को ही मसीहा फिर बताता था
ज़ेहन से वो कितना मानो तो अधूरा था
आशिक़ी में दिल लगाना और फिर रोना
आशिक़ी का ये सबक मानो तो अच्छा था
आज भी इक मसअला शायद पुराना है
गर 'ललित' का वो नहीं होता तो अच्छा था
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari