mujhe jeena nahin aaya
mujhe bachpan nahin bhaaya
chale ye zindagi kaise
ghalat jab dil ko bahlāya
yahin do gaz zameen mein phir
sabhi ko yaar dafnaaya
khushi kii baat karte hain
ghamon ko kyun ye failaaya
vo khud ko sach samajhta hai
hamein usne hai jhuthlaaya
likhi meri hain ghazlein jo
mujhe khud se hai milwaayaa
puraani sab kitaabon ne
mujhe phir se hai suljhaaya
likhoonga dard ko hardam
isi ne taaj pahnaaya
chala sunsaan raahon mein
nahin hai dar koii saaya
मुझे जीना नहीं आया
मुझे बचपन नहीं भाया
चले ये ज़िंदगी कैसे
ग़लत जब दिल को बहलाया
यहीं दो गज़ ज़मीं में फिर
सभी को यार दफ़नाया
ख़ुशी की बात करते हैं
ग़मों को क्यों ये फैलाया
वो ख़ुद को सच समझता है
हमें उसने है झुठलाया
लिखी मेरी हैं ग़ज़लें जो
मुझे ख़ुद से है मिलवाया
पुरानी सब किताबों ने
मुझे फिर से है सुलझाया
लिखूँगा दर्द को हरदम
इसी ने ताज पहनाया
चला सुनसान राहों में
नहीं है डर कोई साया
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari