naam mera un lakeeron par likha shaayad nahin hai
mere khaatir ab zamaane mein dua shaayad nahin hai
khud bachaaya hai ye daaman ab sabhi se yaar maine
sher koii harf-geeron par kaha shaayad nahin hai
vo musalsal roz mujhko hi rulaata phir raha tha
par galat maine kabhi usko kaha shaayad nahin hai
dil dukhaana to yahan par roz jaise aam ho baat
dil kisi ka bhi magar mujhse dukha shaayad nahin hai
नाम मेरा उन लकीरों पर लिखा शायद नहीं है
मेरे ख़ातिर अब ज़माने में दुआ शायद नहीं है
ख़ुद बचाया है ये दामन अब सभी से यार मैंने
शेर कोई हर्फ़-गीरों पर कहा शायद नहीं है
वो मुसलसल रोज़ मुझको ही रुलाता फिर रहा था
पर ग़लत मैंने कभी उसको कहा शायद नहीं है
दिल दुखाना तो यहाँ पर रोज़ जैसे आम हो बात
दिल किसी का भी मगर मुझसे दुखा शायद नहीं है
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari