usi ko dhoondhta main har kisi mein ab
ye gham kyun aa gaya hai zindagi mein ab
utar aaya zameen mein chaand mera to
hua hai ye bharam phir kis khushi mein ab
wahi chehra wahi to husn uska hai
mujhe dikhta nahin hai phir kisi mein ab
ujaala ho raha hai sab taraf se hi
vo aayi jab se hai meri gali mein ab
उसी को ढूँढता मैं हर किसी में अब
ये ग़म क्यूँ आ गया है ज़िंदगी में अब
उतर आया ज़मीं में चाँद मेरा तो
हुआ है ये भरम फिर किस ख़ुशी में अब
वही चेहरा वही तो हुस्न उसका है
मुझे दिखता नहीं है फिर किसी में अब
उजाला हो रहा है सब तरफ़ से ही
वो आई जब से है मेरी गली में अब
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari