bade hi pyaar se mayyat sajaani padti hai | बड़े ही प्यार से मय्यत सजानी पड़ती है

  - Najmu Ansari Nazim

bade hi pyaar se mayyat sajaani padti hai
saja ke jism ko khushboo lagaani padti hai

ye takht kya hai yahan par zameer bikta hai
har ek cheez kii qeemat lagaani padtii hai

vo itne pyaar se seene se lag ke kahti hai
ho mahangi cheez ya sasti dilaani padti hai

tumhaare saath to chalte hain na-khuda kitne
hamein to khud hi ye kishti chalaani padti hai

hamaare daur mein muaafi se maan jaate the
tumhaare daur mein qeemat chukaani padti hai

tumhaare mulk ka naazim ye haal kaisa hai
ho kaam koii bhi rishvat khilaani padti hai

बड़े ही प्यार से मय्यत सजानी पड़ती है
सजा के जिस्म को ख़ुशबू लगानी पड़ती है

ये तख़्त क्या है यहाँ पर ज़मीर बिकता है
हर एक चीज़ की क़ीमत लगानी पड़ती है

वो इतने प्यार से सीने से लग के कहती है
हो महँगी चीज़ या सस्ती दिलानी पड़ती है

तुम्हारे साथ तो चलते हैं ना-ख़ुदा कितने
हमें तो ख़ुद ही ये किश्ती चलानी पड़ती है

हमारे दौर में मुआफ़ी से मान जाते थे
तुम्हारे दौर में क़ीमत चुकानी पड़ती है

तुम्हारे मुल्क का नाज़िम ये हाल कैसा है
हो काम कोई भी रिश्वत खिलानी पड़ती है

  - Najmu Ansari Nazim

More by Najmu Ansari Nazim

As you were reading Shayari by Najmu Ansari Nazim

Similar Writers

our suggestion based on Najmu Ansari Nazim

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari