yun to har ek zamaane ka hunar aata hai
ishq ke naam se par zehan mein dar aata hai
tere har gham ko main seene mein dabaaun kab tak
dard dil ka mere chehre pe ubhar aata hai
usko to mujhse mohabbat hi nahin hoti maa
tum to kahti theen ki sohbat ka asar aata hai
main sukhun chhod ke jo naukri kii soch bhi loon
khwaab mein meer taqi meer nazar aata hai
ab to lagta hai yahan main hi khuda hoon shaayad
koii sunta nahin jiski vo idhar aata hai
यूँ तो हर एक ज़माने का हुनर आता है
इश्क़ के नाम से पर ज़ेहन में डर आता है
तेरे हर ग़म को मैं सीने में दबाऊँ कब तक
दर्द दिल का मेरे चेहरे पे उभर आता है
उसको तो मुझसे मोहब्बत ही नहीं होती माँ
तुम तो कहती थीं कि सोहबत का असर आता है
मैं सुख़न छोड़ के जो नौकरी की सोच भी लूँ
ख़्वाब में मीर तक़ी मीर नज़र आता है
अब तो लगता है यहाँ मैं ही ख़ुदा हूँ शायद
कोई सुनता नहीं जिसकी वो इधर आता है
As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'
our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'
As you were reading undefined Shayari