tujhko to maaloom tha mere yaar udaasi hai | तुझको तो मालूम था मेरे यार, उदासी है - Siddharth Saaz

tujhko to maaloom tha mere yaar udaasi hai
tujhse hi to hum kahte the yaar udaasi hai

tere hisse mein awwal khushiyaan hongi shaayad
par mere hisse mein pehle yaar udaasi hai

mere paas nahin koi tere paas to hoon main
phir teri aankhon mein kaise yaar udaasi hai

khud ko hansta jab bhi dekhoon ro deta hoon main
chhaai is darje ki mujh pe yaar udaasi hai

jis ko gumaan ho mere yun be-baat hi hansne pe
vo meri aankhon mein dekhe yaar udaasi hai

jo saawan hote sookha us phool pe laanat ho
mujh pe laanat tere hote yaar udaasi hai

tujhko hansta dekh ke hi to zinda hain sablog
tujhse koi kaise kah de yaar udaasi hai

isee udaasi ne khush-nazri ki di hai soghat
dekho to kehne ko vaise yaar udaasi hai

तुझको तो मालूम था मेरे यार, उदासी है
तुझसे ही तो हम कहते थे यार, उदासी है

तेरे हिस्से में अव्वल ख़ुशियाँ होंगी शायद
पर मेरे हिस्से में पहले यार उदासी है

मेरे पास नहीं कोई, तेरे पास तो हूँ मैं
फिर तेरी आँखों में कैसे यार उदासी है

ख़ुद को हँसता जब भी देखूँ, रो देता हूँ मैं
छाई इस दर्जे की मुझ पे यार उदासी है

जिस को गुमाँ हो मेरे यूँ बे-बात ही हँसने पे
वो मेरी आँखों में देखे यार, उदासी है

जो सावन होते सूखा, उस फूल पे लानत हो
मुझ पे लानत, तेरे होते, यार उदासी है

तुझको हँसता देख के ही तो ज़िन्दा हैं सबलोग
तुझसे कोई कैसे कह दे यार, उदासी है

इसी उदासी ने ख़ुश-नज़री की दी है सौग़ात
देखो तो, कहने को वैसे यार, उदासी है

- Siddharth Saaz
12 Likes

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Siddharth Saaz

As you were reading Shayari by Siddharth Saaz

Similar Writers

our suggestion based on Siddharth Saaz

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari