darmiyaan mein jo apne doori hai
ye mitaani bahut zaroori hai
heer raanjha kii qais laila kii
ishq kii dastaan adhuri hai
usse milna hai khud kii ruswaai
uski har ik ada ghuroori hai
chaand suraj khafif dikhte hain
teri tasveer itni noori hai
दरमियाँ में जो अपने दूरी है
ये मिटानी बहुत ज़रूरी है
हीर राँझा की क़ैस लैला की
इश्क़ की दास्ताँ अधूरी है
उससे मिलना है ख़ुद की रुसवाई
उसकी हर इक अदा ग़ुरूरी है
चाँद सूरज ख़फ़ीफ़ दिखते हैं
तेरी तस्वीर इतनी नूरी है
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari