dayaar khol khushi kii bahaar laaya hoon | दयार खोल ख़ुशी की बहार लाया हूँ

  - Shajar Abbas

dayaar khol khushi kii bahaar laaya hoon
tira safeer hoon paigham-e-yaar laaya hoon

gale laga inhen zaaya na kar shikaayat mein
main zindagaani se kuchh pal udhaar laaya hoon

kisi mazaar kii chaukhat pe rakh ke peshaani
main apna bigda muqaddar sawaar laaya hoon

tiri khushi ke liye main nadi ke aanchal mein
falak se chaand sitaare utaar laaya hoon

shajar yaqeen karo toofan-e-be-wafaap se
wafa kii naav ko mushkil se paar laaya hoon

दयार खोल ख़ुशी की बहार लाया हूँ
तिरा सफ़ीर हूँ पैग़ाम-ए-यार लाया हूँ

गले लगा इन्हें ज़ाया न कर शिकायत में
मैं ज़िंदगानी से कुछ पल उधार लाया हूँ

किसी मज़ार की चौखट पे रख के पेशानी
मैं अपना बिगड़ा मुक़द्दर सवार लाया हूँ

तिरी ख़ुशी के लिए मैं नदी के आँचल में
फ़लक से चाँद सितारे उतार लाया हूँ

शजर यक़ीं करो तूफ़ान-ए-बे-वफ़ाई से
वफ़ा की नाव को मुश्किल से पार लाया हूँ

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari