duaaein maangte hain bad-dua nahin karte | दुआएँ माँगते हैं बद-दुआ नहीं करते

  - Shajar Abbas

duaaein maangte hain bad-dua nahin karte
jo aql-mand hai vo sab khata nahin karte

lo apne dard-e-jigar kii dava nahin karte
tumhaara aaj se ham tazkira nahin karte

mera salaam ho un sab pe apni beti ko
chalan ke naam pe jo be-rida nahin karte

sikhaate aap ko aadaab be-wafaai ke
agar ham aap se ahad-e-wafaa nahin karte

jo husn waalon se milna to sochkar milna
koii bhi kaam ye be faaeda nahin karte

ye dil kisi ka bhi ik pal mein tod dete hain
khuda ke bande khuda kii haya nahin karte

tumhaare husn pe waajib zakaat hoti hai
zakaat husn kii kyun kar ada nahin karte

namaaz-e-ishq padhi jaati hai jawaani mein
utho jawaanon utho ye qaza nahin karte

zamaane waalon hamein saath saath rahne do
ki gul ke jism se khushboo juda nahin karte

tamaam log vo ahmaq hain jo ye kahte hain
hawa kii dosh pe raushan diya nahin karte

ghamon kii aayatein hoti quloob par naazil
hamaare haq mein agar tum dua nahin karte

tamaam umr amal karna is rivaayat par
koii bura kare uska bura nahin karte

tumhaari zulf ka charcha kahin nahin hota
jo is pe ahl-e-nazar tabsira nahin karte

दुआएँ माँगते हैं बद-दुआ नहीं करते
जो अक़्ल-मंद है वो सब ख़ता नहीं करते

लो अपने दर्द-ए-जिगर की दवा नहीं करते
तुम्हारा आज से हम तज़्किरा नहीं करते

मिरा सलाम हो उन सब पे अपनी बेटी को
चलन के नाम पे जो बे-रिदा नहीं करते

सिखाते आप को आदाब बे-वफ़ाई के
अगर हम आप से अहद-ए-वफ़ा नहीं करते

जो हुस्न वालों से मिलना तो सोचकर मिलना
कोई भी काम ये बे फ़ाएदा नहीं करते

ये दिल किसी का भी इक पल में तोड़ देते हैं
ख़ुदा के बंदे ख़ुदा की हया नहीं करते

तुम्हारे हुस्न पे वाजिब ज़कात होती है
ज़कात हुस्न की क्यों कर अदा नहीं करते

नमाज़-ए-इश्क़ पढ़ी जाती है जवानी में
उठो जवानों उठो ये क़ज़ा नहीं करते

ज़माने वालों हमें साथ साथ रहने दो
कि गुल के जिस्म से ख़ुशबू जुदा नहीं करते

तमाम लोग वो अहमक़ हैं जो ये कहते हैं
हवा की दोश पे रौशन दिया नहीं करते

ग़मों की आयतें होती क़ुलूब पर नाज़िल
हमारे हक़ में अगर तुम दुआ नहीं करते

तमाम उम्र अमल करना इस रिवायत पर
कोई बुरा करे उसका बुरा नहीं करते

तुम्हारी ज़ुल्फ़ का चर्चा कहीं नहीं होता
जो इस पे अहल-ए-नज़र तब्सिरा नहीं करते

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari