agar jo aaj main leila ke qaryaa jaaunga | अगर जो आज मैं लैला के क़र्या जाऊँगा

  - Shajar Abbas

agar jo aaj main leila ke qaryaa jaaunga
to jaanta hoon ke patthar se maara jaaunga

yaqeen hone laga ab teri muhabbat mein
main ruswa karke watan se nikala jaaunga

labon pe shikwa saja hoga teri furqat ka
khuda ke saamne jis din bulaaya jaaunga

lakeer haath ki padhkar kaha najoomi ne
main ik haseena ki chaahat mein maara jaaunga

vo pal hayaat ka sabse haseen pal hoga
tumhaara kah ke main jis pal pukaara jaaunga

udhar uthegi teri doli tere aangan se
bara-e-dafn idhar main uthaya jaaunga

sukoon hota hai haasil shajar wahan jaakar
mazaar-e-qais pe main phir dobaara jaaunga

अगर जो आज मैं लैला के क़र्या जाऊँगा
तो जानता हूँ के पत्थर से मारा जाऊँगा

यक़ीन होने लगा अब तेरी मुहब्बत में
मैं रुसवा करके वतन से निकाला जाऊँगा

लबों पे शिकवा सजा होगा तेरी फुर्क़त का
ख़ुदा के सामने जिस दिन बुलाया जाऊँगा

लकीर हाथ की पढ़कर कहा नजूमी ने
मैं इक हसीना की चाहत में मारा जाऊँगा

वो पल हयात का सबसे हसीन पल होगा
तुम्हारा कह के मैं जिस पल पुकारा जाऊँगा

उधर उठेगी तेरी डोली तेरे आँगन से
बरा-ए-दफ़्न इधर मैं उठाया जाऊँगा

सुकून होता है हासिल शजर वहाँ जाकर
मज़ार-ए-क़ैस पे मैं फिर दुबारा जाऊँगा

  - Shajar Abbas

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari