jab vo yaad aate hain
hijr bhool jaate hain
apna dil jalate hain
teergi mitaate hain
log zulm dhhaate hain
aur muskuraate hain
unka naam lene mein
hont thartharaate hain
chaand jaise chehre se
vo rida hataate hain
utna yaad aate ho
jitna ham bhulaate hain
khud hi zakhm dete hain
khud dava lagaate hain
chor banke aankhon se
khwaab vo churaate hain
raah mein muhabbat kii
log chot khaate hain
aapki ghazal nazmein
roz gungunaate hain
subah gham mein doobi hai
gham mein doobi raate hain
aasmaan ke seene par
taare timtimaate hain
gul ko choomte hain ham
khaar tilmilaate hain
tair qaid-khaane mein
kaise chain paate hain
aap dil churaane ka
fan kahaan se laate hain
vo hamein shajar kahkar
kyun nahin bulaate hain
जब वो याद आते हैं
हिज्र भूल जाते हैं
अपना दिल जलाते हैं
तीरगी मिटाते हैं
लोग ज़ुल्म ढाते हैं
और मुस्कुराते हैं
उनका नाम लेने में
होंठ थरथराते हैं
चाँद जैसे चेहरे से
वो रिदा हटाते हैं
उतना याद आते हो
जितना हम भुलाते हैं
ख़ुद ही ज़ख़्म देते हैं
ख़ुद दवा लगाते हैं
चोर बनके आँखों से
ख़्वाब वो चुराते हैं
राह में मुहब्बत की
लोग चोट खाते हैं
आपकी ग़ज़ल नज़्में
रोज़ गुनगुनाते हैं
सुब्ह ग़म में डूबी है
ग़म में डूबी राते हैं
आसमाँ के सीने पर
तारे टिमटिमाते हैं
गुल को चूमते हैं हम
ख़ार तिलमिलाते हैं
तैर क़ैद-ख़ाने में
कैसे चैन पाते हैं
आप दिल चुराने का
फ़न कहाँ से लाते हैं
वो हमें शजर कहकर
क्यों नहीं बुलाते हैं
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari