kabhi kahin par kabhi kisi ne kabhi kisi ka jo dil dukhaaya | कभी कहीं पर कभी किसी ने कभी किसी का जो दिल दुखाया

  - Shajar Abbas

kabhi kahin par kabhi kisi ne kabhi kisi ka jo dil dukhaaya
hamein muhabbat ke apne aadhe adhoore qisse ne khun rulaaya

parind ka ghar ujaada usne parind ka hamne ghar banaya
jahaan se usne shajar ko kaata wahan pe hamne shajar lagaaya

kisi ne aansu bahaaye chhupkar to koii maidaan mein muskuraya
ghadeer-e-khum mein rasool-e-akram ne jab ali ko wali banaya

ali muhammad ke jaan-nasheen the likhi hai taarikh ja ke padh lo
husain ibn-e-ali ne deen-e-muhammad-e-mustafa bachaaya

tumhaari aankhon mein dekhne ko haraam kehne lagenge waiz
tumhaari aankhon se jaam peekar agar main mehfil mein ladkhadaaya

qafas ke andar udaasiyon mein parind saare ye mutmain hain
faqat isi fikr ne hi shab bhar mahal mein sayyaad ko jagaaya

mazar-e-dil par chadha gaya hai vo phool gham ke malaal kijeye
malaal haaye malaal is par kisi bashar ne nahin jataaya

haseen ladki meri dua hai haseen ladka ho tera saathi
use jo dekha meri nazar ne mere labon par ye fiqra aaya

tumhaari qasmoñ tumhaare vaadon tumhaari yaadon ne lamha lamha
qasam khuda kii qadam qadam par hamein rulaaya bahut rulaaya

ye yaad rakhna havas-parasti siva udaasi ke kuchh na degi
zamaane bhar ke jawaan bachchon ko hamne ye hi sabq padaaya

haan apni marzi se yaad rakhna yahan nahin aaye hain watan se
sitamgaron ne hamein sataaya to hamne dasht-e-junoon basaaya

कभी कहीं पर कभी किसी ने कभी किसी का जो दिल दुखाया
हमें मुहब्बत के अपने आधे अधूरे क़िस्से ने ख़ूँ रुलाया

परिंद का घर उजाड़ा उसने परिंद का हमने घर बनाया
जहाँ से उसने शजर को काटा वहाँ पे हमने शजर लगाया

किसी ने आँसू बहाए छुपकर तो कोई मैदाँ में मुस्कुराया
ग़दीर-ए-ख़ुम में रसूल-ए-अकरम ने जब अली को वली बनाया

अली मुहम्मद के जाँ-नशीं थे लिखी है तारीख़ जा के पढ़ लो
हुसैन इब्न-ए-अली ने दीन-ए-मुहम्मद-ए-मुस्तफ़ा बचाया

तुम्हारी आँखों में देखने को हराम कहने लगेंगे वाइज़
तुम्हारी आँखों से जाम पीकर अगर मैं महफ़िल में लड़खड़ाया

क़फ़स के अन्दर उदासियों में परिंद सारे ये मुतमइन हैं
फ़क़त इसी फ़िक्र ने ही शब भर महल में सय्याद को जगाया

मज़ार-ए-दिल पर चढ़ा गया है वो फूल ग़म के मलाल कीजे
मलाल हाए मलाल इस पर किसी बशर ने नहीं जताया

हसीन लड़की मिरी दुआ है हसीन लड़का हो तेरा साथी
उसे जो देखा मिरी नज़र ने मिरे लबों पर ये फ़िक़रा आया

तुम्हारी क़समों तुम्हारे वादों तुम्हारी यादों ने लम्हा लम्हा
क़सम ख़ुदा की क़दम क़दम पर हमें रुलाया बहुत रुलाया

ये याद रखना हवस-परस्ती सिवा उदासी के कुछ न देगी
ज़माने भर के जवान बच्चों को हमने ये ही सबक़ पढ़ाया

हाँ अपनी मर्ज़ी से याद रखना यहाँ नहीं आए हैं वतन से
सितमगरों ने हमें सताया तो हमने दश्त-ए-जुनूँ बसाया

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari