khushi ke geet ghazal gungunaana bhool gaya
bichhad ke tujh se shajar muskurana bhool gaya
charag-e-ishq-o-muhabbat jalana bhool gaya
main aaj apna fareeza nibhaana bhool gaya
hayaat apni guzarega ab faqiri mein
ye baadshaah tira aastaana bhool gaya
tamaam shab mujhe is baat ka malaal raha
vo aaj kaise mera dil dukhaana bhool gaya
zara urooj mila to badal liya lahja
kameen apna puraana zamaana bhool gaya
jabeen-e-aab-e-samandar pe tishnagi rakh kar
wahan se khushk labon ko hatana bhool gaya
ghatta jo shehar mein aayi to ye khyaal aaya
main teri zulf-e-pareshaan banaana bhool gaya
hamaare dil kii gali se khurooj karte hue
vo apne naqsh-e-kaf-e-paa mitaana bhool gaya
safar hayaat ka ik pal mein kar diya zaaya
main haaye tumko gale se lagana bhool gaya
malaal ishq ke maidaan se shajar apne
gareeb dil ka janaaza uthaana bhool gaya
ख़ुशी के गीत ग़ज़ल गुनगुनाना भूल गया
बिछड़ के तुझ से शजर मुस्कुराना भूल गया
चराग़-ए-इश्क़-ओ-मुहब्बत जलाना भूल गया
मैं आज अपना फ़रीज़ा निभाना भूल गया
हयात अपनी गुज़ारेगा अब फ़क़ीरी में
ये बादशाह तिरा आस्ताना भूल गया
तमाम शब मुझे इस बात का मलाल रहा
वो आज कैसे मिरा दिल दुखाना भूल गया
ज़रा उरूज मिला तो बदल लिया लहजा
कमीन अपना पुराना ज़माना भूल गया
जबीन-ए-आब-ए-समंदर पे तिश्नगी रख कर
वहाँ से ख़ुश्क लबों को हटाना भूल गया
घटा जो शहर में आई तो ये ख़्याल आया
मैं तेरी ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ बनाना भूल गया
हमारे दिल की गली से खुरूज करते हुए
वो अपने नक़्श-ए-कफ़-ए-पा मिटाना भूल गया
सफ़र हयात का इक पल में कर दिया ज़ाया
मैं हाए तुमको गले से लगाना भूल गया
मलाल इश्क़ के मैदान से शजर अपने
ग़रीब दिल का जनाज़ा उठाना भूल गया
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari