ik samundar ki bahut gehraai mein utara hoon main | इक समुंदर की बहुत गहराई में उतरा हूँ मैं - Abhay Aadiv

ik samundar ki bahut gehraai mein utara hoon main
ilm mujh ko bhi nahin kitna abhi gahra hoon main

in parindon se to rishta ban gaya hain aisa ab
yoon laga hai lagne shaayad in ka hi hissa hoon main

dil nahin karta kisi se baat bhi karne ka ab
kitni saari baaton ko dil se laga baitha hoon main

jo saji book-shelf par rahti adhuri padh ke hi
un kitaabon ka hi ik khoya hua qissa hoon main

aks hai pesh-e-nazar tahreer mein meri tira
har ghazal mein naam ojhal sa tira likhta hoon main

इक समुंदर की बहुत गहराई में उतरा हूँ मैं
इल्म मुझ को भी नहीं कितना अभी गहरा हूँ मैं

इन परिंदों से तो रिश्ता बन गया हैं ऐसा अब
यूंँ लगा है लगने शायद इन का ही हिस्सा हूँ मैं

दिल नहीं करता किसी से बात भी करने का अब
कितनी सारी बातों को दिल से लगा बैठा हूँ मैं

जो सजी बुक-शेल्फ़ पर रहती अधूरी पढ़ के ही
उन किताबों का ही इक खोया हुआ क़िस्सा हूँ मैं

अक्स है पेश-ए-नजर तहरीर में मेरी तिरा
हर ग़ज़ल में नाम ओझल सा तिरा लिखता हूँ मैं

- Abhay Aadiv
2 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhay Aadiv

As you were reading Shayari by Abhay Aadiv

Similar Writers

our suggestion based on Abhay Aadiv

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari