swaraaj ka jhanda bharat mein gadwa diya gaandhi baba ne | स्वराज का झंडा भारत में गड़वा दिया गाँधी बाबा ने - Aaftab Rais Panipati

swaraaj ka jhanda bharat mein gadwa diya gaandhi baba ne
dil qaum-o-watan ke dushman ka dahla diya gaandhi baba ne
ulfat ki raah mein mar jaana par naam jahaan mein kar jaana
ye paath watan ke bacchon ko sikhla diya gaandhi baba ne
ik dharm ki taqat dikhla kar zalim ke chakke chhurva kar
bharat ka loha duniya se manvaa diya gaandhi baba ne
ai qaum watan ke parwano lo apne farz ko pehchaano
ab jail se ye paighaam humein bhijva diya gaandhi baba ne
charkhe ki top chala do tum ghairoon ke chakke chhuda do tum
ye hind ka chakra-sudarshan hai samjha diya gaandhi baba ne
nafrat thi ghareebon se jin ko hain shaad achhooton se mil kar
ik prem-pyaala duniya ko pilva diya gaandhi baba ne
girdaab mein qaum ki kashti thi toofaan bapaa the aafat ke
nation ka beda saahil par lagwa diya gaandhi baba ne
bhagwaan bhagat ne himmat ki ik prem-jwaala jaag uthi
karwa kar sheer-o-shakar sab ko dikhla diya gaandhi baba ne
hans hans kar qaum ke bacchon ne seenon par goliyaan khaai hain
bharat ki rah mein mar mitna sikhla diya gaandhi baba ne
ghairoon ke jhaanson mein aana dushwaar hai hind ke laalon ko
aankhon se ghaflat ka parda uthwa diya gaandhi baba ne

स्वराज का झंडा भारत में गड़वा दिया गाँधी बाबा ने
दिल क़ौम-ओ-वतन के दुश्मन का दहला दिया गाँधी बाबा ने
उल्फ़त की राह में मर जाना पर नाम जहाँ में कर जाना
ये पाठ वतन के बच्चों को सिखला दिया गाँधी बाबा ने
इक धर्म की ताक़त दिखला कर ज़ालिम के छक्के छुड़वा कर
भारत का लोहा दुनिया से मनवा दिया गाँधी बाबा ने
ऐ क़ौम वतन के परवानो लो अपने फ़र्ज़ को पहचानो
अब जेल से ये पैग़ाम हमें भिजवा दिया गाँधी बाबा ने
चर्ख़े की तोप चला दो तुम ग़ैरों के छक्के छुड़ा दो तुम
ये हिन्द का चक्र-सुदर्शन है समझा दिया गाँधी बाबा ने
नफ़रत थी ग़रीबों से जिन को हैं शाद अछूतों से मिल कर
इक प्रेम-प्याला दुनिया को पिलवा दिया गाँधी बाबा ने
गिर्दाब में क़ौम की कश्ती थी तूफ़ान बपा थे आफ़त के
नेशन का बेड़ा साहिल पर लगवा दिया गाँधी बाबा ने
भगवान भगत ने हिम्मत की इक प्रेम-ज्वाला जाग उठी
करवा कर शीर-ओ-शकर सब को दिखला दिया गाँधी बाबा ने
हँस हँस कर क़ौम के बच्चों ने सीनों पर गोलियाँ खाई हैं
भारत की रह में मर मिटना सिखला दिया गाँधी बाबा ने
ग़ैरों के झानसों में आना दुश्वार है हिन्द के लालों को
आँखों से ग़फ़लत का पर्दा उठवा दिया गाँधी बाबा ने

- Aaftab Rais Panipati
0 Likes

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aaftab Rais Panipati

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari