gair ke saath kabhi zikr hamaara na karein | ग़ैर के साथ कभी ज़िक्र हमारा न करें - Abbas Ali Khan Bekhud

gair ke saath kabhi zikr hamaara na karein
hum ko bad-naam karein ishq ko rusva na karein

dil ye kehta hai muqaddar hai pareshaan rahna
aql kahti hai ki hum zulf ka sauda na karein

kya zaroorat hai bala un ki sanwaare gesu
ik nazar dekh len jis ko use deewaana karein

kya nahin jaante hum rang-e-talavvun un ka
mehrbaan paayein bhi to arz-e-tamanna na karein

bekhud-e-zaar ko ab dekh ke jhuk jaati hain
vo nigaahen jo kabhi paas kisi ka na karein

ग़ैर के साथ कभी ज़िक्र हमारा न करें
हम को बद-नाम करें इश्क़ को रुस्वा न करें

दिल ये कहता है मुक़द्दर है परेशां रहना
अक़्ल कहती है कि हम ज़ुल्फ़ का सौदा न करें

क्या ज़रूरत है बला उन की संवारे गेसू
इक नज़र देख लें जिस को उसे दीवाना करें

क्या नहीं जानते हम रंग-ए-तलव्वुन उन का
मेहरबां पाएं भी तो अर्ज़-ए-तमन्ना न करें

'बेख़ुद'-ए-ज़ार को अब देख के झुक जाती हैं
वो निगाहें जो कभी पास किसी का न करें

- Abbas Ali Khan Bekhud
1 Like

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Ali Khan Bekhud

As you were reading Shayari by Abbas Ali Khan Bekhud

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Ali Khan Bekhud

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari