kya zaroori hai muhabbat mein tamasha hona
jisse milna hi nahin usse juda kya hona
zinda hona to nahin hijr mein zinda hona
ham ise kahte hain hone ke alaava hona
tera suraj ke qabeele se t'alluq to nahin
ye kahaan se tujhe aaya hai sabhi ka hona
tune aane mein bahut der laga di varna
main nahin chahta tha hijr mein boodha hona
kya tamasha hai ki sab mujhko bura kahte hain
aur sab chahte hain meri tarah ka hona
क्या ज़रूरी है मुहब्बत में तमाशा होना
जिससे मिलना ही नहीं उससे जुदा क्या होना
ज़िंदा होना तो नहीं हिज्र में ज़िंदा होना
हम इसे कहते हैं होने के अलावा होना
तेरा सूरज के क़बीले से त'अल्लुक़ तो नहीं
ये कहाँ से तुझे आया है सभी का होना
तूने आने में बहुत देर लगा दी वरना
मैं नहीं चाहता था हिज्र में बूढ़ा होना
क्या तमाशा है कि सब मुझको बुरा कहते हैं
और सब चाहते हैं मेरी तरह का होना
As you were reading Shayari by Abbas Tabish
our suggestion based on Abbas Tabish
As you were reading undefined Shayari