khala ke jaisa koi darmiyaan bhi padta
phir is safar mein kahi aasmaan bhi padta
main chot kar to raha hoon hawa ke maathe par
maza to jab tha ki koi nishaan bhi padta
ajeeb khwaahishein uthati hain is kharaabe mein
guzar rahe hain to apna makaan bhi padta
humeen jahaan ke peeche pade rahein kab tak
hamaare peeche kabhi ye jahaan bhi padta
ye ik kami ki jo ab zindagi si lagti hai
hamaari dhoop mein vo saayebaan bhi padta
har ek roz isee zindagi ki tayyaari
so chahte hain kabhi imtihaan bhi padta
ख़ला के जैसा कोई दरमियान भी पड़ता
फिर इस सफ़र में कहीं आसमान भी पड़ता
मैं चोट कर तो रहा हूँ हवा के माथे पर
मज़ा तो जब था कि कोई निशान भी पड़ता
अजीब ख़्वाहिशें उठती हैं इस ख़राबे में
गुज़र रहे हैं तो अपना मकान भी पड़ता
हमीं जहान के पीछे पड़े रहें कब तक
हमारे पीछे कभी ये जहान भी पड़ता
ये इक कमी कि जो अब ज़िंदगी सी लगती है
हमारी धूप में वो साएबान भी पड़ता
हर एक रोज़ इसी ज़िंदगी की तय्यारी
सो चाहते हैं कभी इम्तिहान भी पड़ता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek shukla
our suggestion based on Abhishek shukla
As you were reading Tanhai Shayari Shayari