maal-e-qissa-e-dil-e-hazee kharab dekh kar
main dar ke jaag utha tumhaara raat khwaab dekh kar
mujhe laga tha aa ke seene se lagaaegi mujhe
magar chali gai vo haal-e-dil kharab dekh kar
abhi tadap raha tha dil namaaz mein dua ke waqt
aur ab zabaan machal rahi hai phir sharaab dekh kar
qaraar-e-jaan zara se waqt ko sahi par aaya kar
mazid khush hain meri aankhen tera khwaab dekh kar
khuda se maange ja raha hoon main ye jaante hue
manaa karega vo mere amal kharab dekh kar
mujh aise khum-b-dast baadaaksh ko haathon mein liye
bada hi muskuraai aaj vo gulaab dekh kar
lo kar diya na garq uski aankhon ne tumhein bhi faiz
ham aapse na kahte the zara janab dekh kar
मआल-ए-क़िस्सा-ए-दिल-ए-हज़ी ख़राब देख कर
मैं डर के जाग उठा तुम्हारा रात ख़्वाब देख कर
मुझे लगा था आ के सीने से लगाएगी मुझे
मगर चली गई वो हाल-ए-दिल ख़राब देख कर
अभी तड़प रहा था दिल नमाज़ में दुआ के वक़्त
और अब ज़बाँ मचल रही है फिर शराब देख कर
क़रार-ए-जाँ ज़रा से वक़्त को सही पर आया कर
मज़ीद ख़ुश हैं मेरी आँखें तेरा ख़्वाब देख कर
ख़ुदा से माँगे जा रहा हूँ मैं ये जानते हुए
मना करेगा वो मिरे अमल ख़राब देख कर
मुझ ऐसे ख़ुम-ब-दस्त बादाकश को हाथों में लिए
बड़ा ही मुस्कुराई आज वो गुलाब देख कर
लो कर दिया न गर्क़ उसकी आँखों ने तुम्हें भी 'फ़ैज़'
हम आपसे न कहते थे ज़रा जनाब देख कर
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading undefined Shayari