un kii bazm mein mohabbat ke phool khilte hain | उन की बज़्म में मोहब्बत के फूल खिलते हैं

  - arjun chamoli

un kii bazm mein mohabbat ke phool khilte hain
un ke saath mujh ko rang-e-gulaab milte hain

mujhko kehna hai gulaabi hi unke lab bhi hain
aur gulaab kii hi naazuk kali se milte hain

itne nazuki bhare lab hain mujh ko bhaaye hain
dekhta hoon shahad chalke hain jab bhi hilte hain

aaj jaane kya hua vo bahakne bhi lage
ye haseen kya kisi se nashe mein milte hain

lag raha asar mohabbat ka unpe bhi hua
chahte hain kuchh kahein phir vo lab ko silte hain

dard mujhko hai bahut dard mein vo bhi lage
pyaar dil mein hi chhupa ke vo mujh se milte hain

raaz dil mein jo chhupaaya hai unse kehta hoon
aarzoo mein lab shab-o-roz lab se milte hain

उन की बज़्म में मोहब्बत के फूल खिलते हैं
उन के साथ मुझ को रंग-ए-गुलाब मिलते हैं

मुझको कहना है गुलाबी ही उनके लब भी हैं
और गुलाब की ही नाज़ुक कली से मिलते हैं

इतने नाज़ुकी भरे लब हैं मुझ को भाए हैं
देखता हूँ शहद छलके हैं जब भी हिलते हैं

आज जाने क्या हुआ वो बहकने भी लगे
ये हसीन क्या किसी से नशे में मिलते हैं

लग रहा असर मोहब्बत का उनपे भी हुआ
चाहते हैं कुछ कहें फिर वो लब को सिलते हैं

दर्द मुझको है बहुत दर्द में वो भी लगे
प्यार दिल में ही छुपा के वो मुझ से मिलते हैं

राज़ दिल में जो छुपाया है उनसे कहता हूँ
आरज़ू में लब शब-ओ-रोज़ लब से मिलते हैं

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari