hamne samjha tha vo dard kii dava ban gaye hain
ham bhi kya ban gaye aur vo bhi kya ban gaye hain
ghoomte the jo kabhi dava mohabbat kii liye
vo hi ab pyaar jataane kii saza ban gaye hain
jin ka sajda tha kiya abhi bhi karte hain dua
vo mohabbat ko figaar kar kaza ban gaye hain
zakham khanjar se kahe bacha le is dhaar se bas
us se pehle hi vo dhaar kii dua ban gaye hain
jism ghaayal mera par abhi to dhadkan hai bachi
maut se pehle vo sahib-e-aza ban gaye hain
हमने समझा था वो दर्द की दवा बन गए हैं
हम भी क्या बन गए और वो भी क्या बन गए हैं
घूमते थे जो कभी दवा मोहब्बत की लिए
वो ही अब प्यार जताने की सज़ा बन गए हैं
जिन का सज्दा था किया अभी भी करते हैं दुआ
वो मोहब्बत को फ़िगार कर कज़ा बन गए हैं
ज़ख़्म ख़ंजर से कहे बचा ले इस धार से बस
उस से पहले ही वो धार की दुआ बन गए हैं
जिस्म घायल मिरा पर अभी तो धड़कन है बची
मौत से पहले वो साहिब-ए-अज़ा बन गए हैं
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari