tamannaayein mere dil kii adhuri rah gai hain kyun
na apne aaj apne hain to begaane kai hain kyun
kai hasrat liye sab log firte hain machalte hain
adhoore khwaab hain sab ke ye deewarein nayi hain kyun
kabhi ham sochte hain khud ko bahaalne kahaan jaaye
kahin daaman nahin milta ye afsaane kai hain kyun
abhi to zakhm bharne hain abhi to raat baaki hai
abhi din zindagi mein dukh bhare aane kai hain kyun
samaan badle ya ham badle na vo kahte na ham kahte
to khud ko kaise samjhaaye ki jaane muddai hain kyun
mere dil mein mohabbat hai kisi ko chahiye kyunkar
hamesha taulta insaan paimaane kai hain kyun
तमन्नाएँ मिरे दिल की अधूरी रह गई हैं क्यों
न अपने आज अपने हैं तो बेगाने कई हैं क्यों
कई हसरत लिए सब लोग फिरते हैं मचलते हैं
अधूरे ख़्वाब हैं सब के ये दीवारें नई हैं क्यों
कभी हम सोचते हैं ख़ुद को बहलाने कहाँ जाए
कहीं दामन नहीं मिलता ये अफ़साने कई हैं क्यों
अभी तो ज़ख़्म भरने हैं अभी तो रात बाक़ी है
अभी दिन ज़िंदगी में दुख भरे आने कई हैं क्यों
समाँ बदले या हम बदले न वो कहते न हम कहते
तो ख़ुद को कैसे समझाए कि जाने मुद्दई हैं क्यों
मिरे दिल में मोहब्बत है किसी को चाहिए क्यूँकर
हमेशा तौलता इंसान पैमाने कई हैं क्यों
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari