sabse begaana banaya aapne
jee zareefaana banaya aapne
fitratan rakhta tha waarfta mizaaj
dil faqihaana banaya aapne
saari jidd-o-jahd saari ishqiyaat
sab ko afsaana banaya aapne
aap kii yaadein chhupaaye sar kahaan
ghar ko veeraana banaya aapne
bandishon ke daaira mein maykashi
kyun ye paimaana banaya aapne
kaun kaafir kaun hai eemaan-parast
fark maulaana banaya aapne
ab zamaane kii na khud kii hai khabar
achha deewaana banaya aapne
gham se tha na-aashnaa dil qabl-e-ishq
gham ka kaashaana banaya aapne
milta saahil vasl hota ain-o-qaaf
kyun juda-gaana banaya aapne
सबसे बेगाना बनाया आपने
जी ज़रीफ़ाना बनाया आपने
फ़ितरतन रखता था वारफ़्ता मिज़ाज
दिल फ़क़ीहाना बनाया आपने
सारी जिद्द-ओ-जहद सारी इश्क़ियात
सब को अफ़साना बनाया आपने
आप की यादें छुपाए सर कहाँ
घर को वीराना बनाया आपने
बन्दिशों के दाइरा में मयकशी
क्यों ये पैमाना बनाया आपने
कौन काफ़िर कौन है ईमाँ-परस्त
फ़र्क मौलाना बनाया आपने
अब ज़माने की न ख़ुद की है ख़बर
अच्छा दीवाना बनाया आपने
ग़म से था ना-आश्ना दिल क़ब्ल-ए-इश्क़
ग़म का काशाना बनाया आपने
मिलता 'साहिल' वस्ल होता ऐन-ओ-क़ाफ़
क्यों जुदा-गाना बनाया आपने
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari