hamko laga tha husn ke beemaar ho gaye | हमको लगा था हुस्न के बीमार हो गए

  - Aves Sayyad

hamko laga tha husn ke beemaar ho gaye
sach poochiye to ishq mein be-kaar ho gaye

ham rehnuma the ham se hi raahon mein thi chamak
ham kaise teri raah kii deewaar ho gaye

maazi kii laghzishein bhi thi dil bhi tha taar taar
apna hi gham nichod ke fankaar ho gaye

kitni shikaayaten thi magar haay ye naseeb
aakhir ko tum hi mere khareedaar ho gaye

ham shaan hain kisi kii kisi ka shrungaar hain
ham odhni kahin kahin dastaar ho gaye

dil bhi ye kaise kaise manaazir ka naam hai
ik pal mein aashna se jafa-kaar ho gaye

ham gaav se nikal ke yahan aa gaye magar
itni sahoolaton mein bhi dushwaar ho gaye

aankhon mein nafratein bhi thi haathon pe khoon bhi
hamne suna hai log ve deen-daar ho gaye

sayyad kii palkein asl mein sayyad kii qaid thi
jo apne khwaab-gaah mein gulzaar ho gaye

हमको लगा था हुस्न के बीमार हो गए
सच पूछिए तो इश्क़ में बे-कार हो गए

हम रहनुमा थे हम से ही राहों में थी चमक
हम कैसे तेरी राह की दीवार हो गए

माज़ी की लग़्ज़िशें भी थी दिल भी था तार तार
अपना ही ग़म निचोड़ के फ़नकार हो गए

कितनी शिकायतें थी मगर हाय ये नसीब
आख़िर को तुम ही मेरे ख़रीदार हो गए

हम शान हैं किसी की किसी का श्रृंगार हैं
हम ओढ़नी कहीं कहीं दस्तार हो गए

दिल भी ये कैसे कैसे मनाज़िर का नाम है
इक पल में आश्ना से जफ़ा-कार हो गए

हम गाँव से निकल के यहाँ आ गए मगर
इतनी सहूलतों में भी दुश्वार हो गए

आँखों में नफ़रतें भी थी हाथों पे ख़ून भी
हमने सुना है लोग वे दीं-दार हो गए

'सय्यद' की पलकें अस्ल में 'सय्यद' की क़ैद थी
जो अपने ख़्वाब-गाह में गुलज़ार हो गए

  - Aves Sayyad

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari