guzare tere karam se masaail kabhi kabhi
kuchh mein to tera naam tha shaamil kabhi kabhi
ye iltijaa hai kar na tu aasaan raah-e-ishq
mushkil se mujh pe aayi hai mushkil kabhi kabhi
har baat kii wazh ho zaroori nahin hai dost
aise hi baith jaata hai ye dil kabhi kabhi
khud ko tu apne zabt se baahar nikaal le
dariya bhi khol leta hai saahil kabhi kabhi
kuchh bhi nahin hai paas to khone ka dar nahin
phir kyun undelete maine halaahil kabhi kabhi
usne bhi gair jaan ke patthar utha liye
kaalikh bana naqaab ke qaabil kabhi kabhi
dil chahta hai kaat doon uski zubaan ko
deta hai aise aise dalaail kabhi kabhi
mujh ko to mil saka na mere jaisa koii aur
baitha hai aaina bhi muqaabil kabhi kabhi
suraj ko dekhne ka hunar aap mein nahin
beenaai cheen leti hai manzil kabhi kabhi
sayyad duaaein baarishen ban kar baras raheen
baag-e-jinaan se aaya hai bismil kabhi kabhi
गुज़रे तेरे करम से मसाइल कभी कभी
कुछ में तो तेरा नाम था शामिल कभी कभी
ये इल्तिजा है कर न तू आसान राह-ए-इश्क़
मुश्किल से मुझ पे आई है मुश्किल कभी कभी
हर बात की वज़ह हो ज़रूरी नहीं है दोस्त
ऐसे ही बैठ जाता है ये दिल कभी कभी
ख़ुद को तू अपने ज़ब्त से बाहर निकाल ले
दरिया भी खोल लेता है साहिल कभी कभी
कुछ भी नहीं है पास तो खोने का डर नहीं
फिर क्यों उँडेले मैंने हलाहिल कभी कभी
उसने भी ग़ैर जान के पत्थर उठा लिए
कालिख बना नक़ाब के क़ाबिल कभी कभी
दिल चाहता है काट दूँ उसकी ज़ुबान को
देता है ऐसे ऐसे दलाइल कभी कभी
मुझ को तो मिल सका न मेरे जैसा कोई और
बैठा है आइना भी मुक़ाबिल कभी कभी
सूरज को देखने का हुनर आप में नहीं
बीनाई छीन लेती है मंज़िल कभी कभी
'सय्यद' दुआएँ बारिशें बन कर बरस रहीं
बाग़-ए-जिनाँ से आया है बिस्मिल कभी कभी
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading undefined Shayari