doob kar meri mar gai aankhen
dekhi jab vo shanawari aankhen
ik safar saath aasmaanon ka
ik zameen par musafiri aankhen
ab talak meri rooh andar hai
koi khole vazaaifi aankhen
jheel par naachta hua ik mor
us pe teri jhuki hui aankhen
meer ne bhi sooni ghazal usse
jab khuli uski masnavi aankhen
ye sitaare farishton ka ye noor
lekin us nazeerin ki aankhen
teri aankhon pe ye ghani zulfen
teri zulfo pe ye meri aankhen
meri baatein bahut ghumaati hain
kaash hoti padhi likhi aankhen
kaun gham-khwaar hai tera sayyad
kisi ne dekhi hai teri aankhen
डूब कर मेरी मर गई आँखें
देखी जब वो शनावरी आँखें
इक सफ़र सात आसमानों का
इक ज़मीं पर मुसाफ़िरी आँखें
अब तलक मेरी रूह अंदर है
कोई खोले वज़ाइफ़ी आँखें
झील पर नाचता हुआ इक मोर
उस पे तेरी झुकी हुई आँखें
मीर ने भी सुनी ग़ज़ल उससे
जब खुली उसकी मसनवी आँखें
ये सितारे फरिश्तों का ये नूर
लेकिन उस नाज़रीन की आँखें
तेरी आँखों पे ये घनी ज़ुल्फें
तेरी ज़ुल्फों पे ये मेरी आँखें
मेरी बातें बहुत घुमाती हैं
काश होती पढ़ी लिखी आँखें
कौन ग़म-ख़्वार है तेरा सय्यद
किसी ने देखी है तेरी आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Relationship Shayari Shayari